Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Sabir Banda

Irfan Haider
0:000:00
sajjad haay sajjadek nauha khwaan tasawwur mejab shaam ki galiyon me pahoncha haayehamraah asiron ke us neek laagar kaidi ko dekhajo tauq o salaasil me jakrakaanton par chal kar aaya haikuch nezo par quran numasar apne saath me laaya haiallah jaane kaisa saabir banda haiye kaisa saabir banda haimaa behnon phuphiyon ko lekarek qaidi shaam me aaya haijakra hai masaayeb ne is kozanjeer ba zaahir pehne hainye sar to jhuka hai ghairat sekyun tauq musaafir pehne hainlagta hai masaayeb ka ye khudainsaan ke bhes me aaya haiatfaal bhi qaidi hain saareaur saath haya ki shahzaadikhaamosh zabaan hai qaidi kipar zakhm huwe hain faryaadikuch karta nahi faryaad o bukaaankhon se khun bahaata haibeghar hai musaafir hai lekinna sina zani na nauhagarijo shakhs bhala khamosh rahekaanton pe musaafat ho jis kehai dhup masaaayeb ki sar parphir bhi qaidi be saaya haiaata hai nazar jo neze parhai is qaidi ke baap ka sarwo sar bhi sina par rota haikya dard bhala hai ye manzarye wo saabir hai jis ke liyequraan tilaawat karta haimaa behn phuphi hain bechaadarye zakhm jigar par hain gehreinsaan me kaha taaqat itniye zakhm sahe aur zinda rahezanjeer lipat kar kadmon seaur tauq gale ka kehta haihar gaam baraste hain pattharaur us pe tamaashaayi dunyayun sar ko jhuka kar chalta haijaise ho koyi zinda lashakya koyi bashar is duniya mekhud apni laash uthaata haiek phul si naazuk bacchi haius par bhi jafa hai durron kijab haay chacha wo kehti haisar peet ke rote hain qaidikhud rota nahi rone waalehar qaidi ko samjhaata haibacchi ko tamaache lagte hainye zakhm jigar par khaata haiuthti hain nigaahen zainab parye khun ke aansu rota haikhud pyaasa hai par khun dekardurron ki pyaas bujhaata haiirfan aur mazhar kya ho bayaansajjad ki ghurbat ka aalamqirtaas o qalam khun rote hainalfaaz bhi karte hain maatamye nauha qayaamat hai lekinrona is baat pe aata haiallah jaane kaisa saabir banda haiye kaisa saabir banda haimaa behno phuphiyon ko lekarek kaidi shaam me aaya haiallah jaane kaisa saabir banda hai

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay