Shaam-e-gharibaSog me dubi duniya thi saariAayi Ali ki ban me sawaari[Pehre pe Zainab dard ki maari] ×2Baap ko dekha roke pukaariDekho to baba, haay, dekho to baba[Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2Kehti thi rokar zainab-e-muztarShaam-e-ghariba ka ye manzar, Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar[Deti thi Zainab ban me duhaayi, Haaye mujhe kyu mawt na aayi] ×2Khencha gaya beemaar ka bistarShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2(Teero(n) ne chayda baap ka sina, soye kaha par bali Sakina) x2Nawha kuna hai wo jalti zamee(n) parShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2(Sukhe huwe kuzo(n) ki sada hai, pyaase idhar hai udhar darya hai) x2Nawha yahi hai khushk labo(n) parShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2[Dasht-e-bala mei bikhre hai laashe, tute huwe talwaar aur neza] ×2Dekho zara ay fatah-e-khaybarShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2[Kaisi luti haay aal-e-payambar, legaye zalim cheen ke chadar] ×2Chaand sitare roye ye kehkarShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2[Door huwe jab god ke paale, rut gaye is ghar se ujale] ×2Rone lagi hai dekh ke madarShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2(Khaak mere baalo(n) mei pari hai, khaak basar awlad-e-nabi hai) x2Sare kahani kehta hai rokarShaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2[Baba inhe tawfeeq ye dena, hashr talak parhte rahe nawha] ×2Yaad rahe "Irfan" aur "Mazhar"Shaam-e-ghariba ka ye manzar [Kehti thi rokar zainab-e-muztar, Shaam-e-ghariba ka ye manzar] ×2
About Shaam E Ghareeban
Shaam E Ghareeban is a nohay recited by Irfan Haider, from the album “Rahe Salamat Ishq E Hussaini As (2011)” (2011). Stream the full audio for free on Azadari Media, read the complete lyrics above, and keep listening — related nohay queue up automatically.
Explore more nohay by Irfan Haider or browse the Nohay collection.