Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Zameen-E-Karbala Pay Dil

Shadman Raza
0:000:00
Zameen e Karbala pe dil tadapta chod aaya hoon..(2)Gham e Shabeer mein rota bilakta chod aaya hoonMujhe mehsoos hota hai sare maidan mein jaiseSakina ko andhere mein sisakta chod aaya hoonZaifi mein utaye Shaah ko Laashe Ali AkbarKabhi ghirta khabi phir se sambalta chod aaya hoonDhuwa phayla huwa har ek soo tha us shaame ghariba meinMein ek bemaar ka bistar dehekta chod aaya hoonGulu e Asgar e besheer ko haatho'n pe Syed keMai ran mein teer e saypal se ulajta chod aaya hoonShabe ghurbat mein maadar doondhti thi ghumshuda bacheUse tareek e jungle mein bhatakta chod aaya hoonJise Maadar ki turbat pe Ali shab mein chale jaateUse bazaar se din mein guzarta chod aaya hoonSada halmin ki ab har pal mujhe wapas bulati haiAli ke laal ko tanha mai ladta chod aaya hoonBohut dushwaar tha Karbobala ko alwida kehna..(2)Rawa saaso'n ko seene mein atakta chod aaya hoon

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay