Azadari MediaAzadari Media

Nohay

Amma Achchi Amma

Nadeem Sarwar

Amma Achchi Amma

Play & keep listening — more nohay queue up automatically.

Amma achi ammaDakhil jo madine me huwe ahl-e-madinaJaate huwe kuch aur the ab kya hai karinaNa Akbaro Abbas na Hamrah SakinaAur gham se har ik bibi ka labrez tha sinaJab ghar ke karib aagayi kunbe ki sawaariSughra ne jo dekha to ye, roro ke pukaariAmma, ammaHay [Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×3Sughra, kya puch liya Sughra tune, sab kuch to ayaa hai chehre se, le dekh safed yeh baal mere, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2Sughra, jis jaan se pyaara kehti thi, din jis ke liye tu ginti thi, be goro kafan hai baba tera, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2Sughra, jis kunbe ko tu puchti hai, wo karbobala ki khaak huwa, sab chand chupe karbal me tere, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2Sughra, wo eik zaeef jawaan jo hai, pehchaan isse Sajjad hai ye, Isse shaam ki galiya maar gayi, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2Sughra, wo Asghar jo cheh maah ka tha, wo bhi na raha, wo bhi na raha, maa dhoop me baythi roti hai, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2Sughra, jab shaam-e-ghariba ayi thi, Zainab pe bari tanhaayi thi, ghar jalta that chinti thi rida, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2Sughra, darti thi andhere se jo bahot, wo bali Sakina teri behen, ab tak hai wo zindaa mei Sughra, mat puch kaha hai ab kunba[Amma achi amma mera kunba kaha hai, amma achi amma mera baba kaha hai] ×2

About Amma Achchi Amma

Amma Achchi Amma is a nohay recited by Nadeem Sarwar, from the album “Shah Astt Hussain”. Stream the full audio for free on Azadari Media, read the complete lyrics above, and keep listening — related nohay queue up automatically.

Explore more nohay by Nadeem Sarwar or browse the Nohay collection.

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More from Nadeem Sarwar