Kaaba hai siyahposh falak mehwe buka haiYe gumbade aflaak se kyu shor utha haiKohram baqaiyya ki fizao me bapa hai - 2Ye kaun gira - 2Ye kaun gira reti per - 21. Tha waqte asr arshe moalla pe shor tha - 2Wa hasrata ke zeen se zameen per koi giraKaapi zameen chashme malaaek ko yu lagaQuran rehle zeen se sare farsh gir pada - 2Deeware kaaba bayth gayi arsh gir pada2. Girte hi iske kaabe ki deewar gir gayiSar aasman ka jhuk gaya dastaar gir gayiInsaniyat ki dehr me sarkaar gir gayiZakhmo se chur chur hai jhuk kar kamaan hai - 2Hairaan hai maut khauf nahi itmenaan hai3. Ye hogaya maalum ye khaasaane khuda haiYe aisa bashar hai jo zamane se juda haiQaunain me kyu iske liye hashr bapa haiKyu iske liye arshe moalla pe hai matam - 2Rote hai nabi saare siyah posh hai adam4. Ye marde khuda shahe arab aala nasab haiAlhamd se wan naas talak iska hi sab haiBaba ka nasab maa ka hasab iska hasab haiTeero ke musalle pe jo sajde me gira hai - 2Islam isi sar se madad maang raha hai5. Aye shahe mashraqain hamara salam leHaider ke zebo zayn hamara salam leZehra ke dil ka chayn hamara salam leInsaniyat ke deen ka imaan ka salam - 2Karle qubool sarwaro rehan ka salam
0:000:00
Lyrics
Open lyrics pageListen offline & build playlists
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.