Zindaa'n se reha hogaye sadaatAllah ye kya hogaye sadaatkhud karbobala hogaye sadaatYe kaisi rehaayi hai ke dil khush nahi hotakya rehgaya zindaa'n mein ke har qaidi hai rotahaa apni sakina se juda hote hai sadaatallah mere allahzindaan se reha....Ay shaamiyo ab chayn se aaraam se sonabechain karega na kisi bachi ka ronajo shab ko buka karti thi royegi kabhi naallah mere allahzindaan se reha....Zainab ne kaha qaid mein hai mera khazanaay wariso jab shaam dhale is taraf aanaturbat pe sakina ki diya ek jalanaallah mere allahzindaan se reha....Sajjad ne zevar jo aseeri ke utaaretoote hue sab zakhm hare hogaye saaresar dekh ke baba ka tadap kar wo pukaareallah mere allahzindaan se reha....Zainab ne rida paa ke kaha shukre khuda haiabbas mere bhai magar sadma bada haisar nange hame saara jaha'n dekh chuka haiallah mere allahzindaan se reha....Kulsoom jo ek lafz abhi tak na thi bolijis waqt rasan baazu ke sajjad ne kholikehne lagi kya jaaye watan khaali hai jholiallah mere allahzindaan se reha....Ye qaafila jab karbobala laut ke aayadekha ke pada dhoop mein hai bhai ka laashazainab ne sare khaakhe bala khud ko girayaaallah mere allahzindaan se reha....Kya shaan thi sadaat ki jab ghar se chale themehmil thi amaari bhi thi mashkeeze bhare theabbas-e-alamdar alam khole hue theallah mere allahzindaan se reha....Galiyon mein madine ki ajab shor bapa haisughra se abhi aake kisi ne ye kaha haiaa sughra tera baba watan chod raha haiallah mere allahzindaan se reha....Roze pe muhammad ke jo saydaniya'n pohchiay sarwaro rehaan nigaahe bhi jhuki thidikhlake nishaa'n rassi ke zainab ye pukariallah mere allahzindaan se reha....
0:000:00
Lyrics
Open lyrics pageListen offline & build playlists
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.